Result Career Decide Karta Hai?? Ya Talent/Skills ?? || Our Result Decide Our Career Or Our Talent/Skills?? ||
Result Career Decide Karta Hai?? Ya Talent/Skills ?? || Our Result Decide Our Career Or Our Talent/Skills?? ||
FATIMADEVI ENGLISH HIGH SCHOOL |
Ye meri school hai.
Yaha se meri journey start hui thi and yaha se meri life ki tensions bhi.
Logo ko school life mae maja aata hai i know but jaise jaise hum bade hote hai vaise vaise life mae tension aate hai like career ka tension job ka tension favourite college mae admission ka tension sabka tension hai lekin......... yaha mera tension yehi tha ki fail na hojau.
2015 ki baat hai mae 7th std mae tha and mae hogaya hindi subject mae fail tab pheli baar aisa hua tha ki mae fail hua toh muhje mere dad ne pyaar se kaha ki beta next time vapas 1 mae fail mat hona (qki mere fail hone ke baje se mere rajasthan jane ki tickets ko cancel karna phadha tha) fhir aaya 2016 8th std mae tha me and muhje yaad tha ki muhje vapas 1 subject mae fail nhi hona hai........
Toh iss mae 1 nhi 2 subjects mae fail hua science 1 and algerbra mae. fhir kya meri ye daring dekhker mere dad ne mera tution change kardia and muhje classes mae daaldia.
Tution mae me 2 se 4 tak jaata and ghar aaker khelta tha but classes mae daala toh vaha mera timing tha 2 se 9 jaise mae job karraha hu vaisa timing tha mera. Bhot stress mae tha mae qki vo miss muhje 2 se 9 tak bethati and phadati thi and orals bhi leti thi and agar oral dete wakt mae aatak gaya toh vapas phadho kheti thi and mae cheating bhi nhi karta tha qki khudko exam dena tha muhje isliye honest tha..
Vo miss old thi maybe 60-65 ki thi isliye darta bhi tha and respect bhi karta tha, Or mae agar nhi phadta toh vo mere dad ko call karti thi and upper se vaha kuch dost bhi the mere batch mae and vo log cheat karke oral dete the and chale jaate the ghar and me idher 9 baje tak reta tha.
Muhje miss ne kaha bhi tha ki Hitesh tu honest hai isliye tuhje nhi chodhti and tuhje pass karvana hai muhje, miss ki ye baate sunker mene bhi next day se cheat karna suru kardia.... but ghar jaker phadta bhi tha mann se. muhje vaise aadat hogai thi 9 tak bethne ki.
And mae jab tution mae tha 9th mae tab 1 unit and 1 semester ke marks mere aise aaye the
20 mae se 5 6 2 3 7 9 aise marks the unit ke
50 mae se 10 15 17 14 aise marks the semester ke and hightest and passing marks muhje english mae aaaye the 18 vo bhi passsing tha
isliye muhje classes mae daala and muhje school mae marathi miss ne kaha tha ki hitesh tu fail hoga and vo strict thi naam nhi luga unka..
Fhir classes mae gaya toh mere marks aise the
20 mae se 18 19 18 19 20 16 unit ke
50 mae se 40 42 45 39 40 35 sem ke
vo miss ne muhje bataya tha ki hitesh tu raat raha hai samjhker phadh concept ko and ye baat ne muhje phadna sikha dia tha but result baki tha
Jo Jo classmate the mere sabko reexam ka aaya fail huye and mere class ke sab dosto ka result dekha toh fail mae jisse pucha sabne kaha mae fail hu. Me dara hua tha qki mere dad ne clear kaha tha ki iss baar hua toh dukan ready hai, and mae fail hone mae expert tha..
Lekin mere result lia toh sabse phele pass fail dekha and i was pass
fhir mene marks dekhe qki mera fail hona pakka tha starting se kharab marks the last mae sirf ache aaaye the, fhir mene dekha toh muhje 6 marks free diye the jisse hum grace marks bhi khete hai hindi mae 5 and marathi mae 1.
Yaha se meri 10th ki journey start hui and mera youtube career bhi.... you can check that blogs too
https://lifeofh4help.blogspot.com/2020/12/my-life-blog-part-3-started-with-my.html
Marks decide nahi karta hai skill and knowledge aapka Carrier banata hai
ReplyDeleteLoved the blog<3. Found it relatable too 💯.
ReplyDelete❤
ReplyDeleteit's very nice
ReplyDelete𝐕𝐞𝐫𝐲 𝐧𝐢𝐜𝐞
ReplyDelete